Thursday, August 13, 2015

Muhajir Hypocrates

Muhajir Hypocrates
Aap kissi bee forum main chalay jain wahan per aap ko
mazhabi roop main
Athiest roop main
Progressive roop main
Muhajir roop main
Mqm roop main
Haqprast roop main
Qaid roop main
Ahle zuban roop main
aap ko vo log milain ghay jo 68 saalguzar janay kay baad vee muhajir hee hain. Pakistan ho tau wo muhajir magar England canada America tau wo British Canadian aur Amercan kehlana fakhar mahsoos kertay hain

Qaide Azam ka Pakistan

Yehi neheen Balkay Yahya khan nay Islami aieen bananay y kay liay ik committee banai thee jis kay sarbrah JUSTICE Cornelius thay . Pakistan kay saray ulema including Maulbi maudoodi, Mufti Mehmood, Maulbi Ghulam Gaus, Maulbi Ahmad shah Naurani,Maulbi Ihtsham Ul Haq Thanvi, Maulbi Usmani, Maulbi Naeemi and All es cheez pay mutfiq thay keh Justice saab say ach Islam kay baray main koi nehin janta

Pakistan Zindabad





14 august 1947
Pakistan zindabad

Migration to come back

August 1947 kee bhiank din aur ratain jab mairi maan kay khandaan nay
sham churasi Hoshiarpur say Lylpur tak ka paidal chal ker safar kia. Yeh safar intahai sangeen tha jis main kai afraday khana rastay main hee bimari kee wajah say pakistan nah daikh sakay, kuch rastay main fasadat kee nazar ho ghaiay. Jo bach kay pakistan aiay wo apnay village ko yaad kertay kertay hee es dunyaan say chalay ghaiay laikun un ko apna village dobara daikhna naseeb nah hoa. kissi kay khabo khiyal main bee neheen tha keh wo apnay village main dobra naheen aa sakain ghay. Her cheez wahan hee chor ker aa ghaiay keh halat theek ho janay per wapis aa hee jana hai. lakin halaat kharab hee hotay ghaiay jo keh abhee bee hotay hee ja rehay hain.
Yeh meri maan kay khandan kee hee kahani neheen balkay her punjabi ghar kee kahani hai. Shaid hee koi aisee punjabi family ho jo es sort e hal say docnar nah hoi ho

Punjab Murdered ik sazash

1
Lakhoon Punjabiyoun ko azadi kay nam per aik sazash kay teht qatal ker dia ghia. Police aur fauj nay lut mar tolay ko khul day dee keh jo marzi karo lut mar ker kay azadi kay jashon manao
Kiyoun chup rahee Jinnah kee zuban?
Kiyoun chup rahee Liaqat Ali kee zuban
Kiyoun chup rahi Nehroo kee zuban
Kiyoun chup rahi Insaniat kay hamdard Ghandhi kee zuban
Kiyoun chup rahee British government


4 August 1947 Punjab Holocaust ik sazash
Kiyoun na kissi nay power main aanay kay bahd es lut mar kernay valoon ko pukra aur saza dee
Heranghee kee baat hai keh kissi nay bee shor neheen machaya keh 30 lakh kay qareeb log maray ghiay kiyoun koi karvai naheen hoi?

Punjab Laho laho By Gurpreet Kaur Khalsa

Mera pind Awan kot zila ropar... Sun.47 di rakhi te tehvar di gl hai g Barsat de din c... Sade pind ch bahut chehl -Pehal c... Hindu, Muslim, Sikh veer sb mil ke rakhi Da teyohar mana rhe c. ..sade bajurg dasde Han kese nu kujh ni c pata Aaj Rati ki hon vala a
h.. Dine sab ne mil ke khushi nal tehvar mnaya .. Puran masi Yani chand Chan ni rat (fullmoon nigh ) c... Rat nu sb aram nal apne gr Soo gaee .. Jadoo Sawyer hoe te pind valeya ne udth ke vekheya pind ch koe v Muslim parvar apne ghra ch nhi c.. Majha khundeya nal baniya hoya c...gr ch hareya ch dudh te chatiya v lassi nal bhaira hoiya c.. Oh purnmasi di rat sade pind laee haneri rat sabat hoe ...hanera sada laee ...sade bajurg ona nu yad kr de hoee Es duniya to chale gae ..mud ke koe nhi aaya...bs yada he reha gaeya c..jeriya sanu sunade hunde c...

Wednesday, August 5, 2015

Halala


Halala Islam main us amal ko kehtay hain agar koi muslim admi apni bivi ko talaq day day tau halala wajab ho jata hai. Yeh amal kay begair apni bivi say rajooh nahin ker sakta. Es amal main bivi kisay kay sath nikah kerti hai aur es kee shart yeh bee hai keh wo ye sirf dakhavay kay liay nah karay yaani sahi tor per azdawaji talaq bee qaim hoon. Phir bivi aus shakhs say talaq lay ker apnay pehlay shohar say nikah ker sakti hai. Yeh hai sahi halala ka amal.
Daikhnay main aya hai keh aam log talaq day dain tau phir kissi kamzoor lachar aur gareeb ko daikh ker yeh amal kia jaata hai tah keh asaani say jaan churai jaiay. Aus main bee kai log yeh dra damkha ker gareeb ko kehtay hain keh bivi kay kareeb nehin jana. Gareeb bacharay nay paisay liay hotay hain es liay jan choot jaati hai laikan kabi aap nay aisa suna keh halala kertay hoay bivi say hath duh baitha? main jo story likhnay wala hon wo aik sachi kahani hai keh yahan per aik pakistani apni bivi ko kho baitha.
Islamic Sharia disallows a couple remarrying after having been through three divorces.
Some Sunni schools view a triple talaq, when the husband saying "I divorce you" three times in a row, as equivalent to three single talaq. Other Sunnis and Shia treat that as a single divorce, arguing that the Islamic prophet Muhammad did so and Umar having no authority to change that (Muslim 3491, 3492).
Couples cannot remarry until the ex-wife marries another man, to ensure that divorce is not taken lightly. She cannot go back to this husband who has divorced her three times, unless she marries another person who out of his own free will divorces her. This rule is given by the Shari'ah to reduce the occurrence of three divorces and to protect the honor of the woman. Nikah halala cannot be done as a condition or intention to make her lawful to her ex-husband.
After iddah is observed, the original couple may remarry.
Nikah Halala is used mainly in countries that recognize the triple talaq.
The Qur'an expounds: “And if he has divorced her [for the third time], then she is not lawful to him afterward until [after] she marries a husband other than him. And if the latter husband divorces her [or dies], there is no blame upon the woman and her former husband for returning to each other if they think that they can keep [within] the limits of Allah . These are the limits of Allah , which He makes clear to a people who know”. (2:230, Shahih International Translation).
A man is entitled to take his wife back twice after two respective Talaqs and for a third time also before the expiry of her Iddat after he gives her a Talaq for the third time. But after that the separation is irrevocable. She is then free to be married to any other person of her choice. If then in the normal course of life a dispute between them develops leading to first Talaq by the second husband, she is again free to be married to any person of her choice including the second husband (by whom she has got the first divorce) and also including the first husband as well. The relevant point here is that a Halala cannot be planned in advance, as a Nikah between her and the second husband with an understanding of a divorce afterwards will not be valid. If she does so, it will be an illegitimate relationship with the second husband and with the first husband also with whom she comes to live after a pre-planned Halala. Muhammad (P.BU.H) has cursed both such men who perform Halala and for whom Halala is performed. The second Caliph Hazrat Umar ruled during his reign that he will punish with stoning to death those who perform a pre-planned Halala. Imam Sufian Sauri says: “ If someone marries a woman to make her Halala (for her ex-husband) and then wants to keep her as wife, he is not permitted to do so unless he solemnises a Nikah afresh, as the previous Nikah was unlawful.” (Trimizi). ( All English text is taken from Wikkipedia)
Pakistani Bachara Ragaria ghia
Yeh kahani 15 sal pehlay mujay kissi nay sanai thee laikun yaqeen nah aya. Pichlay dinoon hum Middlesbrough gaiay hoay thay tau wahan hamaray aik aziz muhtram nay yeh s sanai aur yeh kaha keh jis aadmi kay sath yeh waqia pesh aya wo aadmi un kay bhai kay saath kaam kerta hai.
Manchester kay aik pakistani nay gussay main apni bivi ko talaaq day dee jab gussa thunda hoa tau buhat preshan hoa keh yeh kia ker dia. Yeh aadmi kuch namazi perhaiz gar tha saucha jis masjid main wo namaz perhta hai wahan kay maulbi saab say mashwara kerta hai shaid halala kee zarorat paish hee na aiay. Yeh aadmi masjid ghia aur maulbi saab say mila aur apni pereshani biyaan kee aur puchaa keh koi aisi sorat bataieen keh halala kee zarorat hee paish nah aiay. Maulbi saab nay kaha keh sharai toor per halala waj ho chuka hai es kay bagair aap apni bivi say rajooh karain ghay tau haram hai. Aap aisay karain keh koi ba aitmad shaks dhondh lain phir hum khud nipat lain ghay. Aadmi nay kaha keh maulbi saab yeh tau buhat sharmindgi kee baat hai keh koi meri bivi kay saath nakah karay. Maulbi saab nay kaha keh yeh halala rakha hee es liay hai keh koi aisi galti phir na karay. Yeh aadmi kissi aur ko bee batana nehin chahata tha sara halalay ka amal poshida tor per kerna chahata tha. Sauch ker kehnay lugaa keh maulbi saab mujay tau aap say baa itmaad aur koi shaks nazar nehin aata tau behtar hai aap hee es maamlay main merri mada karain laikun es shart per keh aap meri bivi ko talaaq day dain ghay. Maulbi saab nay kaha keh agar aap asrar kertay hain tau main aap kay liay yeh halala ka amal ker daita hoon. Maulbi khatmoon kay khanay kha kha kay khob hutta kutta tha aur phir sahi halala ka bee patta tha. Maulbi saab nay aus kee bivi say nikah ker lia . Aik hafta tak aus nay apni taaqat kay khoob josh aur krishmay dakha kay aus aadmi kee bivi ko khush ker dia. wo aadmi haftay kay bahd maulbi sahb kay pass ghia aur kehnay luga keh maulbi saab ab halala ho ghia aap talaq day ker meray say nikah perha dain. Maulbi saab nay kaha theek hai main apni bivi (us admi kee bivi) ko bola ker pochta hoon agar wo talaaq mangay tau main talaq day ker aap say nikah ker daita hoon.
Bivi ko bolya ghia aur maulbi saab nay bivi ko sari tashree ker kay bataya keh yeh halalay ka amal tha kia aap muj say talaaq laina chahitee hain? yeh suval sunna tau bivi nay talaaq mangnay say inkar ker dia. Yeh pakistani nay maulbi saab kee minat samajat shroh ker dee keh aap muj per yeh zulm nah karain. Maulbi saab nay kaha keh main tau koi zulm nehin ker raha main tau talaaq dainay ko tiyaar hoon laikun bivi kee raza mundi say. Aap kehtay hain tau phir pooch laita hoon. Maulbi saab nay phir halaala ka ziker kertay hoay pocha keh aap talaaq laina chahati hain? bivi nay kaha keh neheen kabi naheen. Wo pakistani maulbi kay qadmoon main gir para aur kaha yeh zulm nah karain. Maulbi sahab nay kaha keh main tau talaq dainay ko tiyar hoon ab main apni bivi ko aus kee marzi kay khalf talaaq day ker gunagar naheen ho sakta. Mujay itna gunagar ker kay kissi kee bad duaun ka nashana nah banaieen. Pakistani aadmi nay hosla har dia kuch din sharam kay marray kissi ko yeh baat bee nah batai keh maulbi nay aus kee bivi per qabza ker lia. Laikun aisi baat kub tak chuppi rehti hai. Phir in sabb nay logoon ko khud hee batana shroh ker dia keh . kabi talaq dainay kee jurat nah karo bhaiyo agar yeh galti ho jaiay tau bahtar hai kissi maulbi say halala mat kerna kiyoun keh maulbi sahbaan ko tu halalay kay qanoon ka achee tarah patta hai.
aap bee apni bivi kay saath piyar muhabt kay saath rehyain tah kay halalay kee naubat hee nah aiay. Agar yeh naubat aa jaiay tau halalay kay mahar say bach ker neheen tau anjaam achaa nehin.