Thursday, August 13, 2015

Migration to come back

August 1947 kee bhiank din aur ratain jab mairi maan kay khandaan nay
sham churasi Hoshiarpur say Lylpur tak ka paidal chal ker safar kia. Yeh safar intahai sangeen tha jis main kai afraday khana rastay main hee bimari kee wajah say pakistan nah daikh sakay, kuch rastay main fasadat kee nazar ho ghaiay. Jo bach kay pakistan aiay wo apnay village ko yaad kertay kertay hee es dunyaan say chalay ghaiay laikun un ko apna village dobara daikhna naseeb nah hoa. kissi kay khabo khiyal main bee neheen tha keh wo apnay village main dobra naheen aa sakain ghay. Her cheez wahan hee chor ker aa ghaiay keh halat theek ho janay per wapis aa hee jana hai. lakin halaat kharab hee hotay ghaiay jo keh abhee bee hotay hee ja rehay hain.
Yeh meri maan kay khandan kee hee kahani neheen balkay her punjabi ghar kee kahani hai. Shaid hee koi aisee punjabi family ho jo es sort e hal say docnar nah hoi ho

No comments :

Post a Comment