Saturday, September 12, 2015

Musalmanu ka almia

Kaaba main accident say kaafi haji sahibaan maray ghaiay jo kay musalmanoo kay liay khushnaseebi kee baat hai khas tor per pakistaniyoun kay liay . kiyoun keh bachpan say hee logoon kay zehen main yeh baat bharee jaati hai keh maut aiay tau kaaba main yaa madina main aiay. yeh bee aik khushnaseebi samja jaata hai.laikun es kay bar akas akhar yeh aiay saal macca yaa dosri jaghoon per jo accidents hotay hain inko kub tak allah kay paitay main dal ker hakumat ...chutkara hasal kerti rahay ghee. Akher kissi kee galti say hee aisay accident hotay hain. Agar aisay accident hotay hain tu in mulkoon main log buhat maray jaatay hain. Es kee aik wajah yeh bee hai keh safty at work ko malhooz nahin rakha jaata yaa agar rakha jaata hai tau us ka kuch mukhtalif matlab hai. jaisay muslim mulkoon main FIRE Exit public buildings main aisa hona chahiay jes ko taala nehin lugga hona chaihiyay balkay us main say ander sayher waqat bahar nikalnay ka bandubast hona chahiyay. Hota yeh hai keh fire exit hai laikun us ko taala luga hoa.
England main agar koi thuda lugnay say gir jaay tu woh council say compensation claim ker sakta hai keh council kee galti say foot paath yaan sarak kharab thee. Kia Islam main bee aisa tasvar hai? dar asal galti kernay walay barri asani say jaan churra laitay hain keh yeh allh ko manzoor tha. Saudi haumat kay liay tau Haj aik imcome e lzaval hai. Marnay  walay compensation claim kerna shroh ker dain tau aisay accident bee kum ho jain ghay.

No comments :

Post a Comment