Wednesday, September 9, 2015

Punjabi Naa (Punjabi Names)


 Hindustani (urdu) zuban ko itna khoobsurat aur surkhi powder laga kay paish kia ghia jaisay kunjri ko dance kay liay laya jaata hai. Kunjri ko es roop main daikh ker her koi passand kerta hai. us ka dance bee daikhta hai. yeh bee chahta hai keh us kay bistar main ho. yahan tak tau sab theek hai laikun jab maashray main passand kernay kaa taalaq aata hai majmoi tor per buhat kum log aisay logoon ko passand kertay hain. Aisay hee Urdu ko mahazab lo...goon kee zuban bana kay paish kia ghia, Islami zuban bana kay paish kia ghia. satam yeh keh jooth kee koi intha hotti hai es kay bolnay walay intnay mutaasab paiay ghaiay keh wo apnay aap ko ahley zuban hee sabat kerty rehay. duniyaan main itni zubanain bolnay walay hain keh koi hasab hee nehn . banda in say puchay keh kia in hindustani mahajroon kay alava saray hee bayzubaan hain? Urdu Islami zuban kaisay ho ghai ? kiss Islami mulk main boli jaati hai? pakistan say bahar niklain tau es ka naam arab mulkoon main urdu neheen balkay asli naam hindi ban jaata hai.
Main ab aata hoon asal baat kee taraf? meri maan boli aik aisi boli hai jes main aap apnay baichoon kay naa vee rakh saktay hain. yeh naam khalas punjabi naam hain. Aik zamana tha log yeh naam baray fakhar say rakhtay thay. meri maan boli aur dosri pakistani allaqai boliyoon ko itna gahta kay paish kia ghia keh log apni maan boliyoun ko jahiloon aur ajadoon kee boliyaan samajnay lug ghaiay. Punjabi boli hee nehin yeh tau aik natural system kaa naam hai. punjabi tehvaar vee aisauy hain keh vo bee natural system kay saath sath chaltay hain.. Bahoon kay jjo naam rakhay jaatay thay un main aik naam Muhammad Boota Sarwar , Allah Ditta, Michael Ditta, Allahrakha Arain, Allahyar Anjum, AllahDitta Qamar, Mohmed Alla, Allahnawaz Bhola G, Peeran ditta, AllahDitta Qamar, Allaha Ditta Nizami Allah wasaya, Rab wasaya , Pahg pahri, Naseebu, Hajraan, naseeraan etc
Meri maan boli kee yeh bee aiik khoobsoorati hai keh es nay her cheez kay naam paish kernay kee koshish kee wo es liay keh humaray punjabiyoun kee fitrat hee yeh thee keh kissi ka muhtaj naa hona paray. Punjabi culture tau thaa hee honest aur bhai charay kaa naam.
Main ab aap say yeh guzarash karoon gha keh aap apni main boli ko apnay dil main kuch jagah dain . Es boli ko boltsay hoay fakhar mahsoon karain keh yeh duniyaan kee behtreen boliyoun main say aik hai. Agar muj say koi puchay tau main tau kahoon gha keh punjabi duniyaan kee behtreen zubaan hai her lihaaz say
Be praud to be punjabi which taught the world civilisation

No comments :

Post a Comment