Saturday, July 25, 2015
Kia hum joht kee duniyaan main rehtay hain?
Es duniya kee samaj aanay per sab say pehla swal jo aap kay zehen maun autha hai wo yeh hai keh waqai hum 100% joth kee duniyan main rehtay hain?
Yeh sawal sab say pehlay maray zehan main autha. Main aik chotay say kamray main laita hoa tha. Kamra kia tha ? bas samaj lain keh wo aik chota sa darba tha. Yeh kamra mujay buhat passand tha wo kiyoun? wo es liay keh ghar main "Khdama" nukrani kay liay banaya ghia tha. Khadama kiyoun kehrakhi nehin thee es liay mainay aus main aik kuproon vaali almari fit ker dee.Baqi jo jugga bachi aus main bed nehni aa sakta tha esliay mainay zaeen per hee aik mota sa kumbal teh ker kay bicha dia. Aus kay auper bedsheet . Yeh kamra kuch aisa tha keh aus main meray jaisa single pasli ka insan lait jaiay tau 8 inch juga bachti thee jes per main kuch paper rakh laita aur aik do kitabeen aur apna laptop yaa notebook.
Main aik raat laita sauch raha tha tau achanak zehin nay aik ajeeb see roshni daikhi tau her cheez kee haqeeqat khul ker samnay aa ghai keh hum tu saray hee joht kee duniyaan main reh rehay hain jes ka kahaqeeqat say koi taulaq nehin. Hum berh char ker es ko sabat ker nay kee pur zoor koshish main hain. Agar hum es haqeeqat ko aam logoon kay samnay rakh dain tau aksariat man nay kay lia tiayar nehn . wo haqeeqat ko joht sabat kernay kay liay mukhtalif qiam kay dalail kee buchar ker daitay hain. Yeh dalail kuch mazhab say hee shroh hutay hain. .
Main ziada tafseel main nehin jauoon gha bas yeh hee kahoon gha keh aap bee apnay ird gird nazar dauraeen aur aur zara gaur ker kay batain keh haqeeqat kia hai?
Hum aur hamara maashra her kisam kee buraiyoun aur bad unwaniyoun say ghira hoa hai, balkay hum her kisam kee bad unvaniyoun main dab chukay hain likum phir bee hamain es per fakhar hai. Hum es ko burra kehnay kay liay tiayar hee nehn. Hum gunday paani ku yeh keh ker keh chalta paani paak hai peenay ko tiyar hain laikun jes system nay humain gundgi main qaid kia hoa hai aus kay khalaf aik baat bee sunnay kay liay tiyar nehn
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
No comments :
Post a Comment